Loading

Welcome visitor! Please wait till blog loads...

Monday, June 22, 2009

jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye
meraa Khayaal hai ki vo insaan ban gaye

ham hashr me gaye magar kuchh na puchhiye
vo jaan buujh kar vahaan anjaan ban gaye

hasate hai ham ko dekh ke arbaab-e-aagahii
ham aap kii mizaaj kii pahachan ban gaye

[arbaab-e-aagahii = intellectuals]

majhdhaar tak pahuchana to himmat kii baat thii
saahil ke aas paas hi tufaan ban gaye

insaaniyat kii baat to itanii hai shaiKh jii
bad-Qismatii se aap bhii insaan ban gaye

kaante bahut the daaman-e-fitarat me ai "Adam"
kuch phul aur kuch mere arman ban gaye..

Thursday, June 18, 2009

koi hai jo khayalon me aane laga hai
jiski mohobbat ka nasha mujhpe chane laga hai....

ek dhundhla sa chehra hai nigahon me harpal
jo baadalon me chupkar mujhe satane laga hai...

jaane socha karta hai ye dil tanhayi me kise
kiske khayalon me ye waqt bitane laga hai....

kiski aankhen hai jo lagti jheel se bhi gehri
dil mera jinme doob jane laga hai.........

nahi rahi mohobbat ab aaine se mujhe
jabse aankhon me wo mera aks chupane laga hai....

lutt gaye hain dil k hatho ab kuch nahi baki
ek wo hai jo mujhe mujhse churane laga gai.....shilpi

Friday, June 12, 2009

khafa hai aaj mujhse mera yaar jane kyun
aa raha hai fir bhi mujhe uspe pyar jane kyun

hai mohobbat to usey mujhse bepanaah lekin
karta rehta hai mujhse takraar jane kyun

saamne aate hi nazrein fer leta hai mujhse
ban baithe hain uski nazar me gunehgaar jane kyun

yun to kai dost mile hain is duniya me hame
dil ban baitha hai usi ka talabgaar jane kyun

kuch aisa asar karti hai wo ek nazar unki
ho jate hain uski nazron ke shikaar jane kyun

mana ki nahi aayega wo laut kar mere paas
dil karta hai usi ka intzaar jane kyun..???
##shilpi##
Anjaane mein hum kisi se wafa kar bethe hai 
Apne dil ki har baat use bata bethe hai 

Us ki talaash mein itni door nikal gye 
Ki wapsi ka rasta hai ganwa bethe hai 

Woh na mila par itna zroor hua ki 
Usse dondte dhonte khud ko ganwa bethe hai 

Mil kar us se kya khoya kya paya humne 
Usse yad karte karte khud ko bhula bethe hai 

Shayd us pe bharosa kuch zyada kar bethe 
Jo aaj tak khud se chhupaya usse suna bethe hai 

ye dil us ko to haasil nahi kar paya lekin 
Uski khatir apnon se dushmani kama bethe hai

++ViVEK++

Sunday, June 7, 2009

╬╬ SHIlPI ╬╬:

मेरे इस नादान दिल की, बेकरारी देखिये,
मर मिटा है उनपे इसकी, करगुजारी देखिये।

दीद जबसे हुई सनम की, तबसे कुछ बहका सा है,
किस कदर छाई है इस, दिल पे खुमारी देखिये।

पत्थरो को भी चीर दे फिर, क्या बिसात-ए-दिल मेरी,
हो नहीं सकती नज़र ये, है ये आरी देखिये।

उनके दर की रहगुज़र में, हो गए कितने फ़ना,
या खुदा आई है अब के, मेरी बारी देखिये।

मरते दम की थी तमन्ना, हमने उनकी दीद की,
नाम में इतना असर था कि, मौत हारी देखिये।

देख के उनको सभी ने, शुरू कर दी बंदगी,
कैसे बनते हैं जहाँ में, अब पुजारी देखिये।

कत्ल होके उनकी नजरो से, बाज़ अब भी ना आये हम,
मौत के साए में कैसे है, इश्क जारी देखिये।

दिल मेरा है चमन सा और, वो लगे सैयाद है,
जिंदगी और मौत की ये, अजब यारी देखिये
fff
chayi hai ishq ki khumari dekhiye
badhne lagi hai ab ke bekarari dekhiye
muskurane lage hain be-bat pe har pal
jaane kaun si lag gayi ye bimari dekhiye….

Sapno ki duniya me udne lage hain
Chayi hai dil par kaisi khumari dekhiye
Qatl kar jati hai wo ek nazar unki
Ke nain ban gaye hain ab katari dekhiye….

Shehnai si bajti hai is dil me kahin
Yun humne hai apni zindagi sanvari dekhiye
Wo to khush hain bhari mehfil me aey khuda
Aur humne hai tanha raat guzari dekhiye…..

Aa gaye hain ab hum ishq ke us daur me
Ke log hame kehne lage hain anari dekhiye
Wo to chand hai kya baat unki
Aur idhar unke deed ki hai mara-mari dekhiye……
@@@@shilpi@@@@
Kitna lamba hai ye intzar ka aalam
Jo mujhe chain se sone nahi deta
Ek wo hai jo mera kabhi ho nahi sakta
Aur mujhe bhi kisi aur ka hone nahi deta….


Khud ko qaid kiya hai usne aansuon ke ghere me
Par meri aankho ko aansuon se dhone nahi deta
Dekhna chahe jo mujhe hansta hua har pal
Ek shaks hai jo mujhe kabhi rone nahi deta….

Sitara banke chamakta hai wo aankho me meri
Tanhai me bhi mujhe tanha hone nahi deta
Takder me nahi shayad milna hamara
Ek wo hai ki mujhe khud se juda hone nahi deta….

.....shilpi.....
हर घडी दिल में वफ़ा की, इक शमा जलती रही,
आरजू मिलने की तुझसे, दिन-ब-दिन पलती रही।

बस तड़पते हम रहे, हर रोज़ तेरी याद में,
उम्र भी गुजरी यू ही, और शाम भी ढलती रही।

यू तो था सारा जहाँ, मेरी नज़र के सामने,
एक तू ही ना दिखा, ये बात बस खलती रही।

महफिलों में नज़्म थी, साकी भी था और जाम भी,
फिर भी तेरे हुस्न की ही, बात बस चलती रही।

ज़र्रा होके की तमन्ना, मैंने पाने की चाँद को,
था बड़ा नादान मैं या, ये मेरी गलती रही।
..........अब मैने इस दिल का लगाना छोड़ दिया
उसकी याद में खुद को जलाना छोड़ दिया

बहुत तोड़ा है उसकी चाहत ने मुझे अक्सर
अब और मैने इश्क़ में टूट जाना छोड़ दिया

आंखे तरस रहीं है उसके दीद को लेकिन
उसकी गली से मैने अब आना जाना छोड़ दिया

बहुत बातें करते हैं लोग वफा-ए-मोहब्बत की 
ऐसी किसी भी बात पर ध्यान लगाना छोड़ दिया

कहानी समझ कर सुनते थे मेरी दास्तान-ए-मोहब्बत
अब हर किसी को मैने हाल-ए-दिल सुनाना छोड़ दिया

मत सोच के तुझे याद कर के आज भी लिखता है VIVEK
एक ज़माना हुआ, तुझ पर मैने गज़ल बनाना छोड़ दिया

Kitna mushkil ab dil ka lagana ho gaya
Jise maine chaha wo begana ho gaya
Har chehre me nazar aaye kyun teri hi surat
Paani bhi ab lage ki paimana ho gaya…….

hone lage hain shehar me ab maohobbat ke charche
kuch yun mash hoor tera mera afsana ho gaya
aaina-e-dil me mere koi aur na utar saka
kitna mushkil is dil ko samjhana ho gaya…..

bajte the khayalon me teri yaad ke ghungroo
tab lagta tha mera ghar bhi parikhana ho gaya
ye aansu hain ki aankhon me rukte hi nahi
kitna mushkil ab dil se muskana ho gaya….

Dard-e-ishq ne jabse ghera hai mujhe
Sara jahan lagta hai maikhana ho gaya
Jaane kyun ye gham dilse jata hi nahi
Lagta hai dard bhi mera diwana ho gaya……..shilpi



Jab chaa jata hai dil pe khumaar ishq ka
Bada mushkil hota hai fir intzaar ishq ka…

Hota hai ehsaas hame bhool ka apni
Jab badh jata hai dard beshumar ishq ka….

Milta hai yaron yahan sachha pyar kise
Ke aas rakhna ab hai bekaar ishq ka…

Jante hue ki dawa nahi is dard-e-dil ki
Fir bhi har koi lagta hai bimaar ishq ka…

Roshni ki talaash me bhatakna hai bekar
Jab chaa jata hair ooh me andhakar ishq ka…

Nahi chahat ab mujhe kisi ka pyar paane ki
Ab nahi raha is dil ko aitbaar ishq ka….
** SHILPI **
Yun na mere khayalon me aap aaya kijiye
Khwabon me aakar na sitam dhaya kijiye…

Hai mujhse milne ki ye bekarari kaisi
Kabhi apne dil ko bhi samjhaya kijiye…

Honge aur bhi kaam zamane me tumhe
Ke apna waqt na mujhpe yun zaya kijiye…

Bahut aa chuke ab meri yadon me tum
Ab sapno me aakar na sataya kijiye…

Dil me chupa liya hai jab meri tasvir ko
Fir mujhe deed ko na bulaya kijiye….

Tumse roothna bhi to namumkin lge mujhe
Yun shararat karke na mujhe manaya kijiye….
** SHILPI **
कोई तुमसे पूछे कौन हूँ मैं ,
तुम कह देना कोई ख़ास नहीं .

एक दोस्त है कच्चा पक्का सा ,
एक झूठ है आधा सच्चा सा .
जज़्बात को ढके एक पर्दा बस ,
एक बहाना है अच्छा अच्छा सा .

जीवन का एक ऐसा साथी है ,
जो दूर हो के पास नहीं .
कोई तुमसे पूछे कौन हूँ मैं ,
तुम कह देना कोई ख़ास नहीं .

हवा का एक सुहाना झोंका है ,
कभी नाज़ुक तो कभी तुफानो सा .
शक्ल देख कर जो नज़रें झुका ले ,
कभी अपना तो कभी बेगानों सा .

जिंदगी का एक ऐसा हमसफ़र ,
जो समंदर है , पर दिल को प्यास नहीं .
कोई तुमसे पूछे कौन हूँ मैं ,
तुम कह देना कोई ख़ास नहीं .

एक साथी जो अनकही कुछ बातें कह जाता है ,
यादों में जिसका एक धुंधला चेहरा रह जाता है .
यूँ तो उसके न होने का कुछ गम नहीं ,
पर कभी - कभी आँखों से आंसू बन के बह जाता है .

यूँ रहता तो मेरे तसव्वुर में है ,
पर इन आँखों को उसकी तलाश नहीं .
कोई तुमसे पूछे कौन हूँ मैं ,
तुम कह देना कोई ख़ास नहीं.
"""""kuch log aise hai jo bhulaye nahi jate....
kuch lamhe aise hai jo dilse mitaye nahi jate...
bebasi utar gayi hai aankho me meri....
meri hasi se mere ansu chupaye nahi jate...
wafa ki raho me jalne ke baad ye jana hai...
andhiyo me diye mohabbat ke sajaye nahi jate...
teri tehriro se aati hai teri haatho ki mehak...
bewafa mujhse tere khat jalaye nahi jate...."""""""





Yaad aa gayi mujhe wo kahani aaj fir
Teri mohobbat ki di hui wo nishani aaj fir…

Tera saath chhut gaya hai barson pehle lekin
Hone lagi hoon main teri diwani aaj fir…. 

Tujhe pyar karne ki jo bhul hui mujhse
Yaad aa rahi hai khud ki wo naadani aaj fir…….

Jabse toot gaya hai mera ye pyar bhara dil
Duniya mujhe lagne lagi bemani aaj fir….

Jaane kyon gumm ho jati hu yaadon me teri
Ye dil karne laga hai manmani aaj fir….

Ab koi nahi mere aansu pochne wala
Ye moti ban ne lage hain pani aaj fir……..shilpi

Meri zindagi kisi aur ki,

]mere naam ka koi aur hai.

        Mera aks hai sar-e-aaina,

        Bas-e-aaina koi aur hai.

 

Meri dhadkano me hai chaak si,

Ye judai bhi hai milap si.

        Mujhe kya pata mere dil bata,

        Mere sath kya koi aur hai.

 

Na gaye dino ko khabar meri,

Na sharik haal-e-gazal meri.

        Tere desh me mere bhesh me,

        Koi aur tha koi aur hai.

 

Wo meri taraf nigeraan rahe,

Mera dhyan jane kaha rahe,

        Meri aankh me kai surate,

        Mujhe chahta koi aur hai.

Ho sake to.........

Rakh lu aankho me umra bhar k liye

paas mere kuch pal guzar sakte ho

 

lagae ped maine chahat ke

tumhe hak hai Ukhad sakte ho.

 

Chaho to rakh lo hifazat se

Nahi to kavita hai, faad sakte ho

 

Mai nahi kahta ke mujhe chaaho hi,

Is par kuch soch vichar sakte ho.

 

Ye rista na hoga mujhse dafan

Tumse gar ho to gaad sakte ho….