baarish ki ye bunde mujhse
jaane kya kehna chahti hain
mere ateet ko shayad mujhse
fir se milvana chahti hain.........
kabhi baahein faila kar
baarish me bhiga karte the
un pyari pyari bundo se
shararatein kiya karte the.......
kabhi kagaz ki kashti banakar
sapno ki sair kiya karte the
aur armano ke pankh lagakar
aasmaan me udaa karte the........
wo bachpan bhi kitna pyara tha
har baat me muskuraya karte the
maa ke zara se dulaar se hi
har gham ko bhulaya karte the.....
aaj wo pyare se din
khwab se lagte hain
par shukriya karo in baadalon ka
jo aaj bhi baraste hain.............shilpi