Ajnabi khwahishe seene me daba bhi na sakoon,
Aise ziddi hain parinde ke uda bhi na sakoon..
Phoonk daloonga kisi roz ye dil ki duniya,
Ye tere khat to nahi hai ke jala bhi na sakoon..
Meri gairat bhi koi shaye hai ki mehfil me mujhe,
Usne is tarah bulaya hai ki jaa bhi na sakoon..
Ek na ek roz kahin dhoond hi loonga tujhko,
... Thokare zehar nahin hain ki main kha bhi na sakoon..
Phal to sab mere darakhton ke pake hain lekin,
Itni kamzor hain shaakhen ki hila bhi na sakoon..
Maine mana ki bahut sakht hai galib ki zameen,
Kya mere sher hain aise ki suna bhi na sakoon..