Loading

Welcome visitor! Please wait till blog loads...

Showing posts with label GAZALS. Show all posts
Showing posts with label GAZALS. Show all posts

Friday, October 30, 2015

तन्हाई

कभी मैं सोचता हूँ तुमको बतलाऊ मेरे जानम
की कैसा होता है अक्सर मेरी तन्हाई का आलम

सुनो मैं तुमको बतलाता हूँ जो अक्सर नहीं कहता
मेरी तन्हाई में तेरे सिवा कोई नहीं रहता
तू है मेरी रगों में, इन रगों में ख़ूँ नहीं बहता
मैं दिल की कह रहा हूँ बे-सबब कुछ भी नहीं कहता

जो मेरे साथ है गुज़री, कई बातें छिपाता हूँ
न दुःख पहुंचे तुझे ये सोच, लिखी बातें मिटाता हूँ
जो तूने मुझसे करवाये सभी वादे निभाता हूँ
तेरी धुन में रहूँ तो सारी बातें भूल जाता हूँ

मेरे सब दोस्त तेरे नाम से मुझको चिढ़ाते हैं
मुझसे कुछ हो करवाना तेरी कसमें खिलाते है
वो मुझको तुझसे मिलने के कभी सपने दिखाते है
कभी यूँ बे वजह ही तेरे कारण छेड़ जाते हैं

मेरी तन्हाई के साथी है तेरे प्यार की बातें
जो तन्हा हमने काटी है रहे आग़ोश में रातें
मेरे शब् और सुबह तेरे तराने है सदा गाते
मगर दिल का ये सूनापन मुझे है काटते जाते

मेरा सूरज निकलता है विसाल-ए-यार की खातिर
शब्-ए-तन्हाई कटती है तेरे इंतज़ार की खातिर
मैं ये जो सांसे लेता हूँ तेरे ही प्यार की खातिर
खुदीको रोक रखा है, रस्मे दिवार की खातिर

ये तेरा प्यार है जो मुझको दुआ जीने की देता है
गलत राहो में गर जाऊँ तो मुझको रोक लेता है

विवेक

Thursday, January 10, 2013

Pahli Si wo Muhabbat..

Pahle si wo lutf-e-muhabbat nahi rahi..
kar guzrne ki kuch Ishq me ab shiddat nahi rahi

Bebaak se ho gaye hai tere muh fer lene se..
Jamane ki ab is Dil me dehshat nahi rahi..

Mujhko nahi aati thi dikhawe ki muhabbat
Nadan usne samjha tha ki Chahat nahi rahi..

Daur-e-hijra me, sohbat ko taraste the kabhi hum
Ab mile bhi to darmiyaan kurbat nahi rahi..

Tum bhi ab kuchh narm se padne lage ho sahib.
Na raha gila, teri aankho me wo nafrat nahi rahi..

Jab chahe chale aana, mere jazbaat wahi hai
Tumhe hi dhoondhte rahne ki bas Aadat nahi rahi..
-- Vivek Hariharno

sohbat-- meeting
kurbat-- closeness

Kagaz ki Kasti

Monday, September 17, 2012

मैं और मेरी तन्हाई .....

आंसुओ से भीगा दामन , फिर से तेरी याद आई।
तेरी बातें करते है जब मैं और मेरी तन्हाई .....

जी करता है आग लगा दू इस बेदर्द ज़माने को,
करते है मजबूर मुझे जो तेरा प्यार भूलाने को।
जी करता है तुझे छीन लूं प्यार की रस्म निभाने को।

पर इस बात से थम जाते है, ना हो जाए तेरी रुसवाई।
तेरी बातें करते है जब, मैं और मेरी तन्हाई .....


तुझसे बिछड़ के मैं जी लूँगा , ये कहना एक धोखा था।
तेरी खुशियों की ही खातीर , बढ़ते क़दमों को रोका था।
तन्हाई के इस जंगल में, खुद ही खुद को झोंका था।

तुझसे कैसा शिकवा 'जाना', गर दूरी मुझको रास न आई।।।
अक्सर बातें करते है हम, मैं और मेरी तन्हाई ....


तेरा ही इक चेहरा था जो मुझको हरदम याद रहा 
तेरी ही अनमोल यादों से बाग़-ए-दिल आबाद रहा।
तेरी बस इक दीद की खातीर मेरा दिल आबाद रहा।

बस तेरी ही यादें थी जो, मुझको हरदम है भाई।
अक्सर ज़िक्र तेरा करते हैं , मैं और मेरी तन्हाई ......

मैं और मेरी तन्हाई।।।।

Vivek Hariharno

Tuesday, June 5, 2012

Ajib kitne the

Door Reh kar kareeb kitne the,
Faslay bhi Ajeeb kitne the,

Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna,
Is jahan mein Tabeb kitne the,

Umar bhar Sath jo raha Tere,
Us k Achay Naseb kitnay the,

Kyun na Aai Tu Mere sapno mein,
Tere Shikway Ajeeb kitne the..

Thursday, May 3, 2012

fursat

Dil me na ho jurrat to mohabbat nahi milti,
Khairat me itni badi daulat nahi milati..

Kuchh log yun hi shehar me hum se bhi khafaa hain,

Har ek se apni bhi tabiyat nahi milti..
...
Dekha tha jise maine koi aur tha shaayad,
Wo kaun hai jis se ter surat nahi milti..

Hanste huye chehro se hai baazaar ki zinat,

Rone ko yahaa waise bhi fursat nahi milti..

sham hone do

Mai titleoun ko sula dun ga
zra tm sham hone do.

mai jugnuon ko jga dun ga

zra tm sham hone do.

mari numnak ankhon ko

na tm dekho hqarat se,
mai tm ko b rula dun ga .....
zra tm sham hone do.

kahan aghaz hota hai
kahan anjam hota hai,
hunr sare sikha dun ga
zra tum sham hone do.

Jo tmne muj se pocha hai
kahan hogi tmhri sham,
jahan hogi bta dun ga
zra tm sham hone do

Mushkil ki Ghadi

Is waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nhi hai,
Mehtab, na Suraj, na Andehra, na Sawera,

Aankhon k darichon pe kisi husn ki Chilman,

or dil ki panahon me kisi dard ka Dera,

Shakhon pe khyalon ke ghane Ped pr shayad,

ab aa ke karyga na koi khwab basera,

Mana ye sunsan Ghadi sab se kadi hai,

Lekin mere dil ye to faqat ek ghadi hai,

Himmat karo jeene ki abhi umr padi hai.

Monday, April 30, 2012

Sitam

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHALiB ! Kamaal Kartay ho.

Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ?
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ?

Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .

Monday, April 23, 2012

khushboo...

hua jo kuch bhulana chahiye tha,
usay ab laut aana chahiye tha..

ye saara bojh mere sar pe kyu hai,
usay bhi gham uthana chahiye tha..

kyun chup chap hi ta'aluq tod diya,
Usay pehle batana chahiye tha..

uski yaad ki khushbo hai dil me,
mujhe jisko bhulana chahiye tha..

zara ghalti pe mujhse rooth betha,
usay kya bas, bahana chahiye tha..

mujhe paa ke usay kya chain milta,
jisko saara zamana chahiye tha..

Wednesday, April 11, 2012

CHALO iK AuR DuNiyA MeiN,

ChaLo iK AuR DuNiyA MeiN,
TuMhArAy SaaTh ChaLtAy HaiN..

JaHaN HaLaaT KucH Bi HooN,

MaGaR HuM SaaTh ReHtAy HooN..

JaHaaN MoSaM Koyi Bi Ho,

JuDayi Ka Na Ho LeKiN..

JaHaN CHAAND Bi TuM Ho,

JaHaN SuRaj,
HAWA, ROSHNi,
KHUSHBUON Ka, RunG TuM Se Ho..

JaHaN Pr DiL DhaRknAy Ka,
HaR iK EhSaaS TuM Se Ho..

JaHaaN Pr Mere JeenAy Ki,
SaaRi... Aas TuM Se Ho..

CHALO iK AuR DuNiyA MeiN,
TuMharAy SaaTh ChaLtAy HaiN.....

Thursday, April 5, 2012

Zehen main paani ke baadal agar aaye hote
Maine mitti ke gharonde na banaaye hote

Dhoop ke aik hi mausam ne jinhein tod diya
Itne nazuk bhi ye rishtey na banaye hote

Doobte sheher main mitti ka makaan girta hi
Tum yeh sab soch ke meri taraf aaye hote

Dhoop ke sheher main ik umr na jalna padta
... Hum bhi ae kaash kisi ped ke saaye hote

Phal padosi ke darakhton pe na pakte hote
mere aangan main ye patther bhi na aaye hote

awesome Saying

MOHSIN SAY'Z,
"Bikny wale aur bhi hai ja kr
khareed lou,
Hm log Qeemat say nhi Kismat sy
mila karte hai"

FARAZ Replied 2 MOHSIN,



"Agr chahoo tou ik nigah mai
kharee loun usko,
Jisko naz hai bohat k bikta nhi
hun me"

SAGAR Replied 2 FARAZ,

"Bohat naz hai tujko teri is
Nigah e Ulfat pr,
"Magar hm wo nhi pyare jo
nigahe char karte hai"
&

IQBAL Replied 2 ALL!

"Kisi ko khareedna mery bas mai
nhi,
IQBAL
Meri sadgi dkh kr log khud he
bik jate haiiii"..............

Thursday, March 22, 2012

Khawahishe

Ajnabi khwahishe seene me daba bhi na sakoon,
Aise ziddi hain parinde ke uda bhi na sakoon..

Phoonk daloonga kisi roz ye dil ki duniya,
Ye tere khat to nahi hai ke jala bhi na sakoon..

Meri gairat bhi koi shaye hai ki mehfil me mujhe,
Usne is tarah bulaya hai ki jaa bhi na sakoon..

Ek na ek roz kahin dhoond hi loonga tujhko,
... Thokare zehar nahin hain ki main kha bhi na sakoon..

Phal to sab mere darakhton ke pake hain lekin,
Itni kamzor hain shaakhen ki hila bhi na sakoon..

Maine mana ki bahut sakht hai galib ki zameen,
Kya mere sher hain aise ki suna bhi na sakoon..

Wednesday, March 21, 2012

Shart (muhabbat hamse Karni hai)

Muhbbat Hum Se Karni Hai To Phir "Wada" Nhi Krna
Ye Wady Hum Ne Dekhay Hain K Aksr Toot Jate Hain

Muhbbat Hum Se Krni Hai To Phir "Zid" B Nahi Krna
Ye Zid Bi Hum Ne Dekhi Hai K Saathi Chhoot Jate Hain

Muhbbat Hum Se Karni Hai To Phir "Shikwa" Nhi Krna
Ye Shikway Hum Ne Dekhay Hain DiLon Ko Loot jate Hain

Muhbbat Hum Se Krni Hai To Phir "Roya" Nai krna,
Ye Aansu Hum Ne Daikhy Hain Dilon Ko Cheer jate Hain 

Vivek

Monday, March 19, 2012

Jaadugar

Jis ki aankhon mein bhi ashkon ki ravani hogi,
Dar haqeeqat wo mohabbat ki kahani hogi..

Woh jo bachpan mein hi lagta tha mujhe jadugar,
Kya sitam dhayega jab uss pe javani hogi..
...
Ishq karte ho to paighaam rasayi kaisi,
Pyaar ki baat na ghairon ki zubaani hogi..

Kal mujhe kehne lagi uss ke khaton ki khushbu,
Uss ki har yaad tujhe dil se bhulani hogi..

Khaak udatay hue galiyon mein voh phirtay honge,
Ghum ke maaron ki ye makhsoos nishani hogi...

Wednesday, November 17, 2010

ROSHNI

Uske Dushman Hai Bahut, Aadmi Accha Hoga,

Wo Bhi Meri Hi Tarha Sharer Me Tanha Hoga.

Itna Sach Bol Ki Hotho Ka Tabassum Naa Bhujhe

Roshni Khatm Naa Kar Aage Andhera Hoga.

Pyaas Jis Nahar Se Takarai Wo Banjar Hogi..

Jisko Piche Kahi Chhod Aaye Wo Dariya Hoga

Ek Mahafil Me Kai Mahfile Hoti Hai Sharike

Jisko Bhi Paas Se Dekhoge Akela Hoga.

Mere Bare Me Koi Raay To Hogi Uski

Usne Mujhko Bhi Kabhi Tod Ke Dekha Hoga.