Loading

Welcome visitor! Please wait till blog loads...

Sunday, February 28, 2010

Ishq na karna koi......
Koi baitha tha tanha ek andhere kone mein...
Ek ajeeb si dastan thi uske rone mein...
Maine usse pucha kyo bhai ishq ka hai sataya??:
Usne kaha tumko kisne bataya!!!!
Maine kaha Ishq or mushq chupaye nai chupte....
Ankho se ye ansoo roke nai rukte...
Usne kaha tumko hai kaise is bat ka ehsas??
Maine kaha kissi kissi ko hoti hai ye bimari khaas...
unhi mein se mai bhi hun ek halaat ka mara----
Jiska na hai koi apna na hai koi sahara...
Fir bhi jiye ja raha hun...
Gam ka jo pyala mila hai use piye ja raha hun??
Usne kaha ab mein kya karu??? jiyun ya maru...
Maine kaha ab kaun sa tu zinda hai bina pankho ka parinda hai...
Mar kar in wadiyon mein kahin gum ho jayega....
raha zinda to auron ko bhi is bimari se bachayega::
Is ishq mein hamne apni chain or khushi hai khoi,
sabse kehte hain bhaiya ishq na karna koi,Ishq na karna koi......

Tuesday, February 23, 2010

Tum ye kaise juda ho gaye

Tum ye kaise juda ho gaye,

har taraf har jagah ho gaye

aapna chehra na badala gaya

aayine se khafa ho gaye

tum ye kaise juda ho gaye

jaane waale gaye bhi kahaan

chaand suraj ghata ho gaye

tum ye kaise juda ho gay

bewafa to na wo the naa hum

yun hua bas juda ho gaye

tum ye kaise juda ho gaye

aadami banna aasan na tha

shekh jee parsaa ho gaye

tum ye kaise juda ho gaye

Aye khuda ret ke sahara ko samandar kar de

Aye khuda ret ke sahara ko samandar kar de

Ya chalakti hui aankho ko bhi pattahar kar de.

Tujhko dekha nahi mahasuus kiya hai maine

Aa kisi din mere ahsaas ko paikar kar de

Ya chalakti hui aankho ko bhi patthar kar de

Aur kuch bhi mujhe darkar nahi hai lekin

Meri chaadar meri pairo ke barabar kar de…

Ya chalakti hui aankho ko bhi patthar kar de

Thursday, February 11, 2010

K shayer k tasavur ma koi tasveer hoti hai

Lahoo sey dil k kaghaz par koi tehreer hoti hey
To ahl-e-dil smjhtey hain yahi taqdeer hoti hey
Tujhey khwabon mein aksar log mjh sey cheen letey hain
Suna hey sarey khawbon ki ult taabir hoti hey
Yahi chahat kisi ko taaj ki surat nazar aye
Yahi chaht kisi k paon ki znjeer hoti ha
Wafa ki jang talwaron sey jeeti ja nhin skti
K Sachayi muhbat sey wafa ki jeet hoti ha
Suno ghzlen besbab likhi nhin jati .
K shayer k tasavur ma koi tasveer hoti hai

Tuesday, February 9, 2010

bikhar jata hon

Raiza-e-kanch ki soorat mai bikhar jata hon
Mai teri yad mein jab had sy guzar jata hon

Ab gorezaan hai wo milny sy jo kehta tha kbhi
Tum se milty he mai or nikhar jata hon

Roz khata hon tujy yad na karny ki qasam
Roz wadoon sy mai apny hi mukar jata hon

Mujh ko tmasha bana dia hai muhbt ny teri
Log kasty hain aawazein mai jidhar jata hon

Har gham py chaya hai muhbt ka dhoka
Ab koi pyar sy bulata hai to dar jata hon.
bas itni si inaayat mujhpe aik baar kijiye
kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

ho jaaiye begaane aap shauq se sanam
aapkee hun aapkee rahungee aitbaar kijiye

parrhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

in jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

karna hai ishq aapse karte rahenge hum
jo bhi karna hai aapko mere sarkaar , kijiye

phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
hum pyaar ke bhookhe hain hame pyaar kijiye