Loading

Welcome visitor! Please wait till blog loads...

Friday, March 5, 2010

Badal saka na judai k gham utha kar bhi
K main tau main hi raha,tujh se door ja kar bhi
.
.
Main sakht jaan tha is karb se bhi bach nikla
Main jee raha hoon tujhe hath se ganwa kar bhi
.
.
KHUDA karay k tuhe doori hi raas aa jaaye
Tu kiya karay ga bhala ab yahan pe aa kar bhi
.
.
Abhi tau mere bikharnay ka khail baqi hai
Main khush nahin hoon abhi apna ghar luta kar bhi
.
.
Main us ko satah se mehsoos kar k bhi khush hoon
Woh mutma-in hi nahin meri teh ko pa kar bhi
.
.
Abhi tak us ne koi bhi tau faisla nahin kiya
Woh chup hai mujh ko har ik tarah aazma kar bhi
.
.
Is hujoom mein lar bhirr k zindagi kar lo
Raha na jaaye ga duniya se door ja kar bhi
.
.
Khula yeh bhaid k tanhaaiyaan hi qismat hain
Ik umar dekh liya mehfilain saja kar bhi
.
.
Ruka na zulm mere raakh ban-nay par bhi RIAZ
Hawa ki khu tau wohi hai mujhe jala kar bhi.....!!!

Tuesday, March 2, 2010

Tu hi meri pehchan hai- SHILPI

Dil me mere basne laga ek hi naam hai
Tu hi meri rooh aur tu hi pehchan hai….

Har taraf hone lage meri mohobbat ke charche
Jaane kyun lagta bas tu hi ek anjaan hai….

Sabse chupana chaha fir bhi chhupa na sake
Ye meri aankhen karti harpal ishq bayaan hai…

Mujhse baat karna,rooth jana,maan jana
Teri ye ada bhi lagti mujhpar ek ehsaan hai…..

Aankhon ki nami dekhkar na yun ghabraya karo
Ye aansu hi to mere ankahe pyaar ki pehchan hai….

Na rulayenge kehke tujhse haal-e-dil apna
Jaan se bhi pyari mujhe teri ek muskaan hai….

Tumse pyar bahut hai-SHILPI

Is dil ko mere tumse pyaar bahut hai
tere kareeb aane ka intzaar bahut hai....

jabse palkon me kaid kar liya tere aks ko
tujhe dekhne ko aankhen bekaraar bahut hai....

kabhi waqt nikaal kar aa jao mere paas
ke tere ishq ke hum talabgaar bahu hai...

teer ki dhaar se kya ghayal honge hum
iske liye teri nazron ka vaar bahu hai....

itna satana mujhe...ab achhi baat nahi
aa jao ki karni tumse takraar bahut hai....

maut ki dua na karna aey yaar mere
jaan dene ke liye tera inkaar bahut hai....

Is kadar tadpana mujhe achhi baat nahi-SHILPI

Is kadar tadpana mujhe achhi baat nahi
khwabon me yun satana mujhe achhi baat nahi.....

rooh me bas gaye ho dhadkano ki tarah
dil ko ab dhadkana mere achhi baat nahi....

milne ki jab bhi tujhse socha karu main
na milne ke bahane banana achhi baat nahi....

pyaar hai tumhe bhi mujhse bepanaah lekin
izhaar na karke satana ab achhi baat nahi....

khafa ho jaana mujhse baat baat pe
fir apni hansi ke liye tarsana achhi baat nahi....

jante hue ki marta hai koi ishq me tere
yun apne aap par itrana achhi baat nahi......

Haan... muskurana sikh gayi hoon-SHILPI

Haan muskurana sikh gayi hu auron ke saamne
dard chupana sikh gayi hu auron ke saamne....

Logon ko lagta hai zindadil hu main
par khud ko behlana sikh gayi hu auron ke saamne...

Gham ko apne kabhi zaahir na hone diya
teri yaad mitana sikh gayi hu auron ke saamne....

khud se kabhi na door kar payi tujhe main
ashq na bahana sikh gayi hu auron ke saamne....

Tanhaiyon me yaad karta hai tujhe hi ye dil
par tujhe bhulana sikh gayi hu auron ke saamne....

Rooth gayi hai zindagi mujhse jaane kis baat pe
ab isey manana sikh gayi hu auron ke saamne....

mumkin nahi bhool paun tujhe ek pal ke liye main
haan...khud ko jhutlana sikh gayi hu auron ke saamne....

Aas ka ek deepak- SHILPI

Haal-e-dil duniya se chupaye firte hain
Tumhe apni palkon me samaye firte hain….

Na koi mujhse puche mere dard ka aalam
Aankho se har pal aansu bahaye firte hain….

Ab to kashti doob chuki..saahil ka bhi pata nahi
Fir bhi aas ka ek Deepak jalaye firte hain…..

Dard mila hai beshumaar par shikva karu kaise
Yun Jhooti muskaan honton pe banaye firte hain…

Kehte hain dost mere kya kami hai tere paas
Kaise kahen ke apna sab kuch lutaye firte hain….

Meri kahani ka hua ho chahe kitna bhi bura antt
Is duniya me aaj bhi mohobbat failaye firte hain….