Loading

Welcome visitor! Please wait till blog loads...

Monday, November 23, 2009

Baat niklegi to fir door talak jayegi
Log bewajah udasi ka sabab puchenge
Ye bhi puchenge ke tum itni pareshaan kyo ho

Ungliya uthengi sukhe hue baalo ke taraf
Ek nazar dekhenge guzare hue saalo k taraf
Choodiyo pe bhi kai tanz kiye jayenge
Kaanpte haatho pe bhi Fikre kase jaange

Log zallim hai har ik baat ka taana denge
Baato baato me mera zikra bhi le aayenge
Unki baato ka zara sa bhi asar mat lena
Warna chehre ke tassur se samajh jayenge

Chahe kuch bhi ho sawalat naa karna unse
Merebaare me koi baat naa karna unse..

Baat niklegi to door talak jaayegi

Thursday, November 19, 2009


DUKH DARD KI BARSAT Nay PAGAL BNA DIA
TANHA SAMJH K RAT NAY PAGAL BNA DIA
SHIKWA NAHI KISI SAY KISI SAY GILA NAHI
MUJH KO MERAY HALAT NAY PAGAL BNA DIA
YEH BHI NAHI K UN SAY MILAY BAR BAR HUM
BS IK MULAQAT NAY PAGAL BNA DIA
KEHTA HAI WO HR BAT PY PAGAL TO NAHI AAP
MUJH KO TO ISI BAAT NAY PAGAL BNA DIA

Samjha Sakta tha mai

aisaa hu vaisaa kyuu hu samjhaa saktaa thaa maiN
tumne puuchhaa to hotaa, batlaa saktaa thaa maiN

aasudaa rahne kii Khwaahish maar gaii varnaa
aage aur bohat aage tak jaa saktaa thaa maiN

chhoTi moTi ek lahar hi thi mere andar
ek lahar se kyaa tuufaan uTha saktaa thaa maiN

kahi kahi se kuchh misre, ek aadh Gazal, kuchh sher
is puunjii par kitnaa shor machaa saktaa thaa maiN

jaise sab likhte rahte haiN Gazle, nazme, geet
vaise likh likh kar ambaar lagaa saktaa tha maiN