aisaa hu vaisaa kyuu hu samjhaa saktaa thaa maiN
tumne puuchhaa to hotaa, batlaa saktaa thaa maiN
aasudaa rahne kii Khwaahish maar gaii varnaa
aage aur bohat aage tak jaa saktaa thaa maiN
chhoTi moTi ek lahar hi thi mere andar
ek lahar se kyaa tuufaan uTha saktaa thaa maiN
kahi kahi se kuchh misre, ek aadh Gazal, kuchh sher
is puunjii par kitnaa shor machaa saktaa thaa maiN
jaise sab likhte rahte haiN Gazle, nazme, geet
vaise likh likh kar ambaar lagaa saktaa tha maiN
No comments:
Post a Comment