Door duniya ki nazar se aaj chalte hai..
Sun aa Chal kahi bhag chalte hai
Dil baitha ja Raha hai Thakan se
Lafz jamne lage gham ki shaam se
Hai qaraar dil ko bas tere naam se
Aaja apni hatheliyo me kurbat ki aag malte hai
Aye mere humdam kahi bhag chalte hai
(kurbat = closeness, nazdeeki)
Raat kat'ti nahi din guzarta nahi
Daur-e-hijra me ghut'ta hu Marta nahi
Ab teri yado se kaam chalta nahi
Door dono ki bechainiyo ko aaj krte hai
Sun aa Chal kahi bhag chalte hai
No comments:
Post a Comment