Loading

Welcome visitor! Please wait till blog loads...

Tuesday, February 9, 2010

bikhar jata hon

Raiza-e-kanch ki soorat mai bikhar jata hon
Mai teri yad mein jab had sy guzar jata hon

Ab gorezaan hai wo milny sy jo kehta tha kbhi
Tum se milty he mai or nikhar jata hon

Roz khata hon tujy yad na karny ki qasam
Roz wadoon sy mai apny hi mukar jata hon

Mujh ko tmasha bana dia hai muhbt ny teri
Log kasty hain aawazein mai jidhar jata hon

Har gham py chaya hai muhbt ka dhoka
Ab koi pyar sy bulata hai to dar jata hon.

No comments:

Post a Comment