Pahle si wo lutf-e-muhabbat nahi rahi..
kar guzrne ki kuch Ishq me ab shiddat nahi rahi
Bebaak se ho gaye hai tere muh fer lene se..
Jamane ki ab is Dil me dehshat nahi rahi..
Mujhko nahi aati thi dikhawe ki muhabbat
Nadan usne samjha tha ki Chahat nahi rahi..
Daur-e-hijra me, sohbat ko taraste the kabhi hum
Ab mile bhi to darmiyaan kurbat nahi rahi..
Tum bhi ab kuchh narm se padne lage ho sahib.
Na raha gila, teri aankho me wo nafrat nahi rahi..
Jab chahe chale aana, mere jazbaat wahi hai
Tumhe hi dhoondhte rahne ki bas Aadat nahi rahi..
-- Vivek Hariharno
sohbat-- meeting
kurbat-- closeness
No comments:
Post a Comment