Zehen main paani ke baadal agar aaye hote
Maine mitti ke gharonde na banaaye hote
Dhoop ke aik hi mausam ne jinhein tod diya
Itne nazuk bhi ye rishtey na banaye hote
Doobte sheher main mitti ka makaan girta hi
Tum yeh sab soch ke meri taraf aaye hote
Dhoop ke sheher main ik umr na jalna padta
... Hum bhi ae kaash kisi ped ke saaye hote
Phal padosi ke darakhton pe na pakte hote
mere aangan main ye patther bhi na aaye hote

No comments:
Post a Comment