Loading

Welcome visitor! Please wait till blog loads...

Wednesday, March 14, 2012

kalam

haa ye gamo ki saam aakhri hai,,
chadha do kafan ye salam aakhiri hai,,

yu bhar ke ankhiya tapakte hai ansu,,
wo khte hai piyo ye jaam aakri hai,,

safar aakhiri hai kadam to mila lo,,
khuda ka diya intjam aakhiri hai,,

tadapte rahe par sukun tha itna ,,
gam-e jindgi ka inaam aakhri hai,,

yu khwabo pe rahe umr bhar jo,,
unhi ke liye ye kalam aakhri hai...........................

No comments:

Post a Comment