Loading

Welcome visitor! Please wait till blog loads...

Monday, June 22, 2009

jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye
meraa Khayaal hai ki vo insaan ban gaye

ham hashr me gaye magar kuchh na puchhiye
vo jaan buujh kar vahaan anjaan ban gaye

hasate hai ham ko dekh ke arbaab-e-aagahii
ham aap kii mizaaj kii pahachan ban gaye

[arbaab-e-aagahii = intellectuals]

majhdhaar tak pahuchana to himmat kii baat thii
saahil ke aas paas hi tufaan ban gaye

insaaniyat kii baat to itanii hai shaiKh jii
bad-Qismatii se aap bhii insaan ban gaye

kaante bahut the daaman-e-fitarat me ai "Adam"
kuch phul aur kuch mere arman ban gaye..

No comments:

Post a Comment