khafa hai aaj mujhse mera yaar jane kyun
aa raha hai fir bhi mujhe uspe pyar jane kyun
hai mohobbat to usey mujhse bepanaah lekin
karta rehta hai mujhse takraar jane kyun
saamne aate hi nazrein fer leta hai mujhse
ban baithe hain uski nazar me gunehgaar jane kyun
yun to kai dost mile hain is duniya me hame
dil ban baitha hai usi ka talabgaar jane kyun
kuch aisa asar karti hai wo ek nazar unki
ho jate hain uski nazron ke shikaar jane kyun
mana ki nahi aayega wo laut kar mere paas
dil karta hai usi ka intzaar jane kyun..???
##shilpi##
very nice poem....
ReplyDelete