Sabse chupa kar dard jo hum muskura gaye apni hansi se aaj sari duniya ko rula gaye.....
Dil se jo uth raha tha dard ka dhuan yakin ho gaya tha ki sab kuch ganwa gaye....
Aansu dekhne ko mere tarasti rahi duniya ashkon ka ek sailaab aaj unhe dikha gaye....
aawaz me thehrao tha aur aankhon me nami is dard ke saath khud ko jeena sikha gaye...
kaise kahen ki lagi hai gehri chhot dil pe ye haalaat hain ki har zakhm sehna sikha gaye....
Na karo aey doston ab mujhse wafa ki ummeed hazaron ke bich hum khud ko tanha bana gaye..... shilpi
Friday, March 5, 2010
Badal saka na judai k gham utha kar bhi K main tau main hi raha,tujh se door ja kar bhi . . Main sakht jaan tha is karb se bhi bach nikla Main jee raha hoon tujhe hath se ganwa kar bhi . . KHUDA karay k tuhe doori hi raas aa jaaye Tu kiya karay ga bhala ab yahan pe aa kar bhi . . Abhi tau mere bikharnay ka khail baqi hai Main khush nahin hoon abhi apna ghar luta kar bhi . . Main us ko satah se mehsoos kar k bhi khush hoon Woh mutma-in hi nahin meri teh ko pa kar bhi . . Abhi tak us ne koi bhi tau faisla nahin kiya Woh chup hai mujh ko har ik tarah aazma kar bhi . . Is hujoom mein lar bhirr k zindagi kar lo Raha na jaaye ga duniya se door ja kar bhi . . Khula yeh bhaid k tanhaaiyaan hi qismat hain Ik umar dekh liya mehfilain saja kar bhi . . Ruka na zulm mere raakh ban-nay par bhi RIAZ Hawa ki khu tau wohi hai mujhe jala kar bhi.....!!!