Darmiyaan Yun to hai Fasle ,
Rooh fir bhi paas hai..
Juda nahi jo pal bhar mujhse,
Tera hi ahsaas hai..
saanse beshak tham bhi jaaye, humdam par ye wada hai..
Tode se bhi na tute jo tere Milan ki Aas hai..
Ghadiya, pal, din, saal mahine,
Guzarte hai to guzar jaaye..
Mil hi jayenge hum ik din, mujhko ye Vishwaas hai..
No comments:
Post a Comment